restaurant mein
ham ik chaa.e kī mez pe aa kar
ishq kā qissa le baiThe the
har ḳhātūn baḌī komal thī
mard nihāyat dil vaale the
mo'tabarān-e-shahr meñ ik ne
us ko flātūnī Thahrāyā
un kī sharīk-e-hayāt ne us par
tanz se ''jī-achchhā!'' farmāyā
pādriyoñ meñ ik ye bole
ishq gharelū ho na to is se
nazm-e-shikam barham hotā hai
ik laḌkī ne pūchhā ''kaise?''
ik ḳhātūn ne ye farmāyā
ishq meñ hai talvār kī tezī
aur is daurān meñ uTh kar
chaa.e kī pyālī shauhar ko dī
ek gosha bilkul ḳhālī thā
tum bhī jo ātīñ ham mil rahte
ishq kā matlab sab pā jaate
go ham muñh se kuchh bhī na kahte
hum ek chae ki mez pe aa kar
ishq ka qissa le baiThe the
har KHatun baDi komal thi
mard nihayat dil wale the
mo'tabaran-e-shahr mein ek ne
us ko flatuni Thahraya
un ki sharik-e-hayat ne us par
tanz se ji-achchha! farmaya
padriyon mein ek ye bole
ishq gharelu ho na to is se
nazm-e-shikam barham hota hai
ek laDki ne puchha kaise?
ek KHatun ne ye farmaya
ishq mein hai talwar ki tezi
aur is dauran mein uTh kar
chae ki pyali shauhar ko di
ek gosha bilkul KHali tha
tum bhi jo aatin hum mil rahte
ishq ka matlab sab pa jate
go hum munh se kuchh bhi na kahte
- Book : kulliyat-e-mustafa zaidii(koh-e-nida (Pg. 107)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.