ret
ret par soyā huā hai aadmī
us meñ sire se koī jumbish hī nahīñ
mujhe haul hotā hai
maiñ us ke paas jaatā huuñ
vahāñ ret kā ek Dher hotā hai
maiñ us Dher ko haath se chhūtā huuñ
mere panje kā nishān ret par ban jaatā hai
phir ye nishān
paanī se niklī huī machhlī kī tarah taḌapne lagtā hai
aur kuchh der ba.ad sākit ho jaatā hai
mere haath se chipkī ret
jab mere saath saath chaltī rahī hai
maiñ ne use ka.ī baar haath se jhāḌnā chāhā
baar baar haath ko paanī se dhoyā bhī
lekin ret haath se chhūTtī hī nahīñ
raah chalte hue maiñ apnā haath
jeb maiñ chhupā kar chaltā huuñ
lekin musāfah karne ke liye to
haath jeb se nikālnā hī paḌtā hai
mujh se musāfh karne ke ba.ad
koī aadmī pahle jaisā nahīñ rahtā
kuchh duur jā kar
vo apne haath se lagī ret ko
jhāḌne kī koshish kartā hai
aur ret ke Dher meñ tabdīl ho jaatā hai
har galī aur mohalle meñ
har ghar kī dahlīz par
aap ko ret ke ye Dher dikhā.ī deñge
un par merī uñgliyoñ ke nishān bhī mileñge
ḳhud merī piiTh par bhī
aisā hī ek nishān hai
ek din ye saare Dher yakjā kar diye jā.eñge
ek baḌā sā Dher banā diyā jā.egā
ye saarā kaam
ek shaḳhs tan-e-tanhā karegā
phir vo Dher par bane us nishān ko
uThā kar apnī jeb meñ rakh legā
ret par soya hua hai aadmi
us mein sire se koi jumbish hi nahin
mujhe haul hota hai
main us ke pas jata hun
wahan ret ka ek Dher hota hai
main us Dher ko hath se chhuta hun
mere panje ka nishan ret par ban jata hai
phir ye nishan
pani se nikli hui machhli ki tarah taDapne lagta hai
aur kuchh der baad sakit ho jata hai
mere hath se chipki ret
jab mere sath sath chalti rahi hai
main ne use kai bar hath se jhaDna chaha
bar bar hath ko pani se dhoya bhi
lekin ret hath se chhuTti hi nahin
rah chalte hue main apna hath
jeb main chhupa kar chalta hun
lekin musafah karne ke liye to
hath jeb se nikalna hi paDta hai
mujh se musafh karne ke baad
koi aadmi pahle jaisa nahin rahta
kuchh dur ja kar
wo apne hath se lagi ret ko
jhaDne ki koshish karta hai
aur ret ke Dher mein tabdil ho jata hai
har gali aur mohalle mein
har ghar ki dahliz par
aap ko ret ke ye Dher dikhai denge
un par meri ungliyon ke nishan bhi milenge
KHud meri piTh par bhi
aisa hi ek nishan hai
ek din ye sare Dher yakja kar diye jaenge
ek baDa sa Dher bana diya jaega
ye sara kaam
ek shaKHs tan-e-tanha karega
phir wo Dher par bane us nishan ko
uTha kar apni jeb mein rakh lega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.