rihai ki koshish
duniyā vīrān ho chukī hai
kyoñke mere saath tum nahīñ
dekho ab mujh par koī aañsū koī mausam
balki merī apnī chīḳheñ
bhī asar nahīñ kartīñ
tumhārī āvāz ke baad mere kānoñ ne
samā.at kā kaam chhoḌ diyā hai
maañ merī masnūī muskurāhaT ko pahchān ga.ī hai
is vajah se mujhe ḳhush rahne kī
koī na.ī vajah tarāshnī hogī
maiñ ne ek pāgal se chand qahqahe udhār liye haiñ
magar maiñ jaan gayā huuñ ke udāsiyoñ kī
jail se rihā.ī mumkin nahīñ
duniya viran ho chuki hai
kyonke mere sath tum nahin
dekho ab mujh par koi aansu koi mausam
balki meri apni chiKHen
bhi asar nahin kartin
tumhaari aawaz ke baad mere kanon ne
samaat ka kaam chhoD diya hai
man meri masnui muskurahaT ko pahchan gai hai
is wajah se mujhe KHush rahne ki
koi nai wajah tarashni hogi
main ne ek pagal se chand qahqahe udhaar liye hain
magar main jaan gaya hun ke udasiyon ki
jail se rihai mumkin nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.