rishta
bhuuk ke shīshe bhī
dhundhle paḌ chuke haiñ ab
shīsha to zarīya thā
uThe hue hāthoñ aur so.e hue bad-rañg dhabboñ ke beach
ār-pār dekhne kā
bañdhī huī muTThī aur phaile hue hāthoñ ke beach
chup aur chillāte hue
hāthoñ ke beach
roTī ek rishta thī
aur ye rishta bhī bhuuk ke shīshoñ kī tarah
dhuñdhlā hotā jā rahā hai
to kyā bhuuk kā shīsha
roTī kā rishta
añdhere meñ khulte ve dvaar haiñ
jahāñ ham ek dūsre ko nahīñ pahchānte
bhuk ke shishe bhi
dhundhle paD chuke hain ab
shisha to zariya tha
uThe hue hathon aur soe hue bad-rang dhabbon ke beach
aar-par dekhne ka
bandhi hui muTThi aur phaile hue hathon ke beach
chup aur chillate hue
hathon ke beach
roTi ek rishta thi
aur ye rishta bhi bhuk ke shishon ki tarah
dhundhla hota ja raha hai
to kya bhuk ka shisha
roTi ka rishta
andhere mein khulte we dwar hain
jahan hum ek dusre ko nahin pahchante
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.