rishta
tujhe bhī yaad aatā hogā shāyad
thā merī ruuh se ik dil kā rishta
vo rishta jis ke aage saare rishte
lagā karte haiñ jhūTe aur phīke
vahī rishta hai mere saath ab tak
mirī rag rag meñ har dam dauḌtā hai
mire andar jo ḳhālī-pan hai chhāyā
use pur karne kī koshish meñ har pal
mirī ḳhāmoshiyoñ ko toltā hai
mirī āsūdgī-e-jāñ kī ḳhātir
bahut mīThe suroñ meñ boltā hai
magar phir bhī maiñ kaise bhuul jā.ūñ
ye rishta merī barbādī kī jaḌ hai
yahī vo rishta hai jo toḌ kar tū
mirī duniyā se kab kā jā chukā hai
tujhe bhi yaad aata hoga shayad
tha meri ruh se ek dil ka rishta
wo rishta jis ke aage sare rishte
laga karte hain jhuTe aur phike
wahi rishta hai mere sath ab tak
meri rag rag mein har dam dauDta hai
mere andar jo KHali-pan hai chhaya
use pur karne ki koshish mein har pal
meri KHamoshiyon ko tolta hai
meri aasudgi-e-jaan ki KHatir
bahut miThe suron mein bolta hai
magar phir bhi main kaise bhul jaun
ye rishta meri barbaadi ki jaD hai
yahi wo rishta hai jo toD kar tu
meri duniya se kab ka ja chuka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.