rishte
maiñ kyā jānūñ kaun hai sūraj kis nagrī kā baasī hai
kaisā sar-chashma hai jis se jīvan dhārā bahtī hai
maiñ kyā jānūñ kaun hai bādal kyuuñ āvāra phirtā hai
kitne peḌ hare hote haiñ kitnī kaliyāñ murjhātī haiñ
ek nigāh-e-lutf se us kii, us ke ek taġhāful se
maiñ kyā jānūñ shab ke gahre sannāToñ meñ
kitne taare TuuT ga.e haiñ
kitnī palkeñ bhiig chukī haiñ kitne aañsū ḳhushk hue haiñ
sadiyoñ ke malbe ko haTā kar dekho
kitnī rūheñ apne apne panjar DhūñD rahī haiñ
maiñ kyā jānūñ kyā hai duniyā
insānoñ kī bastī hai yā ek sarā-e-fānī hai
maiñ to abhī bistar se uThā huuñ aur mirī āñkhoñ meñ ab tak
ḳhvāb kā saarā manzar hai
merā potā chāñd meñ baiThā apne beTe se kahtā hai
''dekho vo dhartī hai us meñ dādā-abbā rahte the''
main kya jaanun kaun hai suraj kis nagri ka basi hai
kaisa sar-chashma hai jis se jiwan dhaara bahti hai
main kya jaanun kaun hai baadal kyun aawara phirta hai
kitne peD hare hote hain kitni kaliyan murjhati hain
ek nigah-e-lutf se us ki, us ke ek taghaful se
main kya jaanun shab ke gahre sannaTon mein
kitne tare TuT gae hain
kitni palken bhig chuki hain kitne aansu KHushk hue hain
sadiyon ke malbe ko haTa kar dekho
kitni ruhen apne apne panjar DhunD rahi hain
main kya jaanun kya hai duniya
insanon ki basti hai ya ek sara-e-fani hai
main to abhi bistar se uTha hun aur meri aankhon mein ab tak
KHwab ka sara manzar hai
mera pota chand mein baiTha apne beTe se kahta hai
dekho wo dharti hai us mein dada-abba rahte the
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 182)
- Author : NCPUL, New Delhi
- Publication : Khalilur Rahman Azmi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.