rishwat
ye afsar hai
ise ma.alūm hai ye
ki is ke dastaḳhat se
clerkoñ māliyoñ kī
aur chaprāsī kī tanḳhvāhoñ ke bill
ḳhazāne se nikalte haiñ
har ik mātahat hai jo
kaam us kā
kabhī to kuchh na kuchh paḌtā hai is se
ye kārindoñ kī majbūrī magar
is ke liye to
ek paiġhām-e-tijārat hai
har ik tanḳhvāh ke bill ke evaz aur
har ik arzī ke naate
ye apne dastaḳhat ko bechtā hai
ḳhud apne hirs ke ūñche mahal ko
kisī ke ḳhuun pasīne
aur mehnat kī kamā.ī se
hamesha sīñchtā hai
ye afsar hai
ise malum hai ye
ki is ke dastaKHat se
clerkon maliyon ki
aur chaprasi ki tanKHwahon ke bill
KHazane se nikalte hain
har ek matahat hai jo
kaam us ka
kabhi to kuchh na kuchh paDta hai is se
ye karindon ki majburi magar
is ke liye to
ek paigham-e-tijarat hai
har ek tanKHwah ke bill ke ewaz aur
har ek arzi ke nate
ye apne dastaKHat ko bechta hai
KHud apne hirs ke unche mahal ko
kisi ke KHun pasine
aur mehnat ki kamai se
hamesha sinchta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.