rista dard
ek taraf barsoñ purānā ḳhuun kā qarz hai
vahīñ dūsrī aur ek mazlūm aurat
kā rastā dard hai
vo aurat
merī maañ ho saktī hai yā paḌosan
yā koī duur vatan kī ajnabī
par ḳhuun ke rishte se baḌā
ye dard hai mere liye
kyuuñ ki
har pal kuchh ristā hai us rishte ke liye
saarī zindagī carpet banī rahī ye aurat
aaj bhī zimmadāriyoñ ke bojh se
ziyāda kuchh nahīñ tumhāre liye
par bhuul rahe ho tum bhī
isī carpet par dhar diye jāoge
kisī din upekchhit poTlī kī tarah
tab ke liye ristā rahegā ye dard
ek taraf barson purana KHun ka qarz hai
wahin dusri aur ek mazlum aurat
ka rasta dard hai
wo aurat
meri man ho sakti hai ya paDosan
ya koi dur watan ki ajnabi
par KHun ke rishte se baDa
ye dard hai mere liye
kyun ki
har pal kuchh rista hai us rishte ke liye
sari zindagi carpet bani rahi ye aurat
aaj bhi zimmadariyon ke bojh se
ziyaada kuchh nahin tumhaare liye
par bhul rahe ho tum bhi
isi carpet par dhar diye jaoge
kisi din upekchhit poTli ki tarah
tab ke liye rista rahega ye dard
- Book : Kya Keh Rahi hai Zindagi (Pg. 37)
- Author : Mamta Tiwari
- Publication : Pahle Pahel Parkashan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.