rup-nagar ki shahzadi
ḳhvāb ik ḳhvāb meñ jo dekhā hai
hai taḳhayyul kahāniyoñ jaisā
qissa-e-husn-o-ishq kī tamsīl
kākul-e-shab javāniyoñ jaisā
guzre vaqtoñ kī ik kavītā ho
ḳhālī mahloñ meñ DhūñDhtī ho kise
le ke hāthoñ meñ pyaar kī zanjīr
ḳhālī nazroñ se pūchhtī ho kise
niiñd meñ sochtī huī āñkheñ
jāgte meñ rahīñ jo soī sī
jaane kis samt chal paḌe haiñ qadam
bhūlī-bisrī adā vo khoī sī
jaane kyuuñ sukh na mil sakā tujh ko
ḳhālī jholī rahī vafāoñ kī
dil-e-barbād jheltā hī rahā
rut na badlī kabhī jafāoñ kī
log kahte haiñ husn kī tasvīr
aisī tasvīr jo adhūrī thī
fāsla rah gayā jo thā dil meñ
hāth-bhar kī faqat ye duurī thī
vaqt ke āsmān par jānam
taare angār se chamakte haiñ
yaad rakhtā hai un ko ek jahāñ
dāman-e-ishq par jo jalte haiñ
KHwab ek KHwab mein jo dekha hai
hai taKHayyul kahaniyon jaisa
qissa-e-husn-o-ishq ki tamsil
kakul-e-shab jawaniyon jaisa
guzre waqton ki ek kawita ho
KHali mahlon mein DhunDhti ho kise
le ke hathon mein pyar ki zanjir
KHali nazron se puchhti ho kise
nind mein sochti hui aankhen
jagte mein rahin jo soi si
jaane kis samt chal paDe hain qadam
bhuli-bisri ada wo khoi si
jaane kyun sukh na mil saka tujh ko
KHali jholi rahi wafaon ki
dil-e-barbaad jhelta hi raha
rut na badli kabhi jafaon ki
log kahte hain husn ki taswir
aisi taswir jo adhuri thi
fasla rah gaya jo tha dil mein
hath-bhar ki faqat ye duri thi
waqt ke aasman par jaanam
tare angar se chamakte hain
yaad rakhta hai un ko ek jahan
daman-e-ishq par jo jalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.