sabun
do aalam kī sayyāhī meñ
guzre haiñ nik.hat nik.hat
mere lab
ujle pistānoñ se
zer-e-nāf
ghanī rātoñ ke aivānoñ se
bhīgī bhīgī khaal kī andhī raunaq se vāqif huuñ maiñ bhī
jismoñ se sailābī pech-o-ḳham se ghis kar
lamha lamha jaan gañvā.ī hai maiñ ne bhī
jhaag banā kar hastī apnī
miTTī ke sapne dhotā huuñ
tere ḳhaliyoñ ke halqoñ meñ
ek shaffāf falak botā huuñ
tund-masāmoñ kī āñkhoñ meñ
apne chehre ko khotā huuñ
do aalam ki sayyahi mein
guzre hain nikhat nikhat
mere lab
ujle pistanon se
zer-e-naf
ghani raaton ke aiwanon se
bhigi bhigi khaal ki andhi raunaq se waqif hun main bhi
jismon se sailabi pech-o-KHam se ghis kar
lamha lamha jaan ganwai hai main ne bhi
jhag bana kar hasti apni
miTTi ke sapne dhota hun
tere KHaliyon ke halqon mein
ek shaffaf falak bota hun
tund-masamon ki aankhon mein
apne chehre ko khota hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.