sada waraq
is liye
aap ko bhejā thā
vo saada kāġhaz
ik koī harf munāsib sā
mayassar hī na thā
ajnabī jaise the andāz-e-taḳhātub saare
koī paikar bhī mirī soch sā
paikar hī na thā
kitne alqāb the
maiñ likkhā kiyā kaaTā kiyā
kitne aurāq maiñ
be-vaj.h yūñhī phāḌā kiyā
dil kī zid bartā huā lafz
na bartā jaa.e
ik alag sab se koī harf
tarāshā jaa.e
aap pābandī-e-ādāb kī sharteñ rakkheñ
dil girāñbārī-e-alfāz se uljhā jaa.e
sochte sochte bas saada varaq bhej diyā
aap hī likhiye ki kyā aap ko likkhā jaa.e
ik shikasta sā
purānā sā
adhūrā sā ye ḳhat
aaj paayā to udhaḌne lage Tāñke dil ke
dil pe likkhe the jo aurāq
vo sab phaaḌ diye
ek bas saada varaq saiñt ke rakkhā maiñ ne
is liye
aap ko bheja tha
wo sada kaghaz
ek koi harf munasib sa
mayassar hi na tha
ajnabi jaise the andaz-e-taKHatub sare
koi paikar bhi meri soch sa
paikar hi na tha
kitne alqab the
main likkha kiya kaTa kiya
kitne auraq main
be-wajh yunhi phaDa kiya
dil ki zid barta hua lafz
na barta jae
ek alag sab se koi harf
tarasha jae
aap pabandi-e-adab ki sharten rakkhen
dil giranbari-e-alfaz se uljha jae
sochte sochte bas sada waraq bhej diya
aap hi likhiye ki kya aap ko likkha jae
ek shikasta sa
purana sa
adhura sa ye KHat
aaj paya to udhaDne lage Tanke dil ke
dil pe likkhe the jo auraq
wo sab phaD diye
ek bas sada waraq saint ke rakkha main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.