sadgi
mere maazī kā koī zaḳhm mire paas nahīñ
jis se jo chiiz milī thī use pher aaya huuñ
terī zulfoñ ke sitāre tirī āġhosh ke phuul
jaane kin rāh-guzāroñ meñ bikher aaya huuñ
ho ga.ī hogī buland aur buland aur buland
maiñ tire gird jo dīvār sī gher aaya huuñ
tū mirī raah se guzrī thī sitāre le kar
mere ehsās pe chhā.e hue saa.e na ga.e
terī āñkhoñ se to barsī thī mai-e-hosh-rubā
ḳhushk hoñToñ se ye paimāne lagā.e na ga.e
terī phailī huī bāñhoñ ne pukārā lekin
do qadam mujh se tirī samt uThā.e na ga.e
maiñ ne alfāz ke parde meñ mohabbat DhūñDī
irti.āsh-e-lab-e-gul-gūñ kī sadā sun na sakā
maiñ na samjhā tirī ḳhāmosh nazar kā mafhūm
āñkhoñ āñkhoñ meñ vo iqrār-e-vafā sun na sakā
maiñ ne andāz-e-tamannā ko taġhāful jaanā
terī bhīgī huī palkoñ kā gila sun na sakā
aaj jab zaḳhm-e-tamannā kā nishāñ tak na rahā
to mujhe zaḳhm-e-tamannā kī davā yaad aa.ī
ḳhaak uḌne lagī jab ruuh ke vīrāne meñ
terī bikhrī huī zulfoñ kī ghaTā yaad aa.ī
aaj jab suukh ga.e phuul hī armānoñ ke
tere mahke hue āñchal kī havā yaad aa.ī
mere mazi ka koi zaKHm mere pas nahin
jis se jo chiz mili thi use pher aaya hun
teri zulfon ke sitare teri aaghosh ke phul
jaane kin rah-guzaron mein bikher aaya hun
ho gai hogi buland aur buland aur buland
main tere gird jo diwar si gher aaya hun
tu meri rah se guzri thi sitare le kar
mere ehsas pe chhae hue sae na gae
teri aankhon se to barsi thi mai-e-hosh-ruba
KHushk honTon se ye paimane lagae na gae
teri phaili hui banhon ne pukara lekin
do qadam mujh se teri samt uThae na gae
main ne alfaz ke parde mein mohabbat DhunDi
irtiash-e-lab-e-gul-gun ki sada sun na saka
main na samjha teri KHamosh nazar ka mafhum
aankhon aankhon mein wo iqrar-e-wafa sun na saka
main ne andaz-e-tamanna ko taghaful jaana
teri bhigi hui palkon ka gila sun na saka
aaj jab zaKHm-e-tamanna ka nishan tak na raha
to mujhe zaKHm-e-tamanna ki dawa yaad aai
KHak uDne lagi jab ruh ke virane mein
teri bikhri hui zulfon ki ghaTa yaad aai
aaj jab sukh gae phul hi armanon ke
tere mahke hue aanchal ki hawa yaad aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.