sae
aisī rāteñ bhī ka.ī guzrī haiñ
jab tirī yaad nahīñ aatī hai
dard siine meñ machaltā hai magar
lab pe fariyād nahīñ aatī hai
har gunā sāmne aa jaatā hai
jaise tārīk chaTānoñ kī qatār
na koī hīla-e-tesha-kārī
na madāvā-e-farār
aisī rāteñ bhī haiñ guzrī mujh par
jab tirī rāhguzar meñ saa.e
har jagah chaar taraf the chhā.e
to na thī terī tarah ke saa.e
saa.e hī saa.e the larzāñ larzāñ
kabhī aa.e kabhī bhāge kabhī bhāge kabhī aa.e
saa.e hī saa.e the tirī rāhguzar ke saa.e
aisī rāteñ bhī haiñ guzrī mujh par
jab tirī yaad nahīñ aatī hai
lab pe fariyād nahīñ aatī hai
aisi raaten bhi kai guzri hain
jab teri yaad nahin aati hai
dard sine mein machalta hai magar
lab pe fariyaad nahin aati hai
har guna samne aa jata hai
jaise tarik chaTanon ki qatar
na koi hila-e-tesha-kari
na madawa-e-farar
aisi raaten bhi hain guzri mujh par
jab teri rahguzar mein sae
har jagah chaar taraf the chhae
to na thi teri tarah ke sae
sae hi sae the larzan larzan
kabhi aae kabhi bhage kabhi bhage kabhi aae
sae hi sae the teri rahguzar ke sae
aisi raaten bhi hain guzri mujh par
jab teri yaad nahin aati hai
lab pe fariyaad nahin aati hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 54)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.