sae ka safar
sarpaT bhāgte ādamiyoñ ke
saa.e kaT kar
rail ke Dibboñ kī qabroñ meñ girte jaa.eñ
hāñpte pahiye
samtoñ ke gūñge sāgar meñ
shor machā.eñ
āñkhoñ meñ aañsū lahrā.eñ
hoñToñ par bose kumhlā.eñ
ruuh ulajhtī jaa.e
soch rahā huuñ
apne dhyān kā parda khīñch ke
sab chehroñ ke chāñd bujhā duuñ
sab samtoñ aur sab rastoñ ko chakma duuñ
aur kahīñ na jā.ūñ
sarpaT bhagte aadamiyon ke
sae kaT kar
rail ke Dibbon ki qabron mein girte jaen
hanpte pahiye
samton ke gunge sagar mein
shor machaen
aankhon mein aansu lahraen
honTon par bose kumhlaen
ruh ulajhti jae
soch raha hun
apne dhyan ka parda khinch ke
sab chehron ke chand bujha dun
sab samton aur sab raston ko chakma dun
aur kahin na jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.