sahir-ludhiyanwi ke liye
sahar thā jis kī bātoñ meñ
naḳhl-e-samar thā
jis ke hāthoñ meñ
jādū-bayāñ aisā
jo bāñjh zamīnoñ se fasleñ ugā gayā
vajūd kī be-ma.anī kitāboñ meñ
hameñ dars-e-ibrat de gayā
maut aur ziist ke darmiyāñ
kitne fāsle masdūd kar gayā
tajrabāt kā bas apne pyāloñ meñ ghol kar
shāḳhoñ meñ aañsū khilā gayā
le aayā vo sauġhāt
jo zaḳhm-e-dil kā mudāvā bhī banī
qudrat ne us ko baḳhshī
dayār-e-shauq kī rahbarī
har lamha jis ne kī apnī zaat kī nigahbānī
taraqqī-pasandoñ meñ 'sāhir'
ek nirālā shā.ir thā
sahar tha jis ki baaton mein
naKHl-e-samar tha
jis ke hathon mein
jadu-bayan aisa
jo banjh zaminon se faslen uga gaya
wajud ki be-mani kitabon mein
hamein dars-e-ibrat de gaya
maut aur zist ke darmiyan
kitne fasle masdud kar gaya
tajrabaat ka bas apne pyalon mein ghol kar
shaKHon mein aansu khila gaya
le aaya wo saughat
jo zaKHm-e-dil ka mudawa bhi bani
qudrat ne us ko baKHshi
dayar-e-shauq ki rahbari
har lamha jis ne ki apni zat ki nigahbani
taraqqi-pasandon mein 'sahir'
ek nirala shair tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.