sal-e-nau
aao ham jashn manā.eñ ki ye dhartī apnī
ye jahāñ-dīda mu'ammar dhartī
is kī zulfoñ kī siyāhī meñ baḌhā
ek aur tār-e-safed
jhurriyāñ chehre kī hairānī nigāhoñ meñ samo.e dekheñ
tez-rau qadmoñ se baḌhtī huī ik aur shikan
jaise bichhḌī ho kisī mele meñ
dil kī shiryānoñ meñ surḳhī kī jagah zardī hai
raushnī-rang ke tūfān meñ fursat kis ko
koī pūchhe us se
dil kī raftār huī jaatī hai dhīmī kyūñkar
us ke siine meñ haiñ madfūn dukhoñ ke ambār
apnī hī kokh se janme in zamīñ-zādoñ ke
qahqahe khokhle sun sun ke phaTā jaatā hai dil dhartī kā
aur vo sochtī hai
kho ga.e kyoñ vo shab-o-roz mire
merī bāhoñ meñ humakte the vo tifl-e-māsūm
jin ke hoñToñ pe tabassum ke tilā.ī sikke
aur āñkhoñ meñ thiiñ ḳhvāboñ kī rupahlī kirneñ
dil ke goshoñ meñ umangoñ kī dhanak phailī thī
aur ab haal ye hai
un ke hoñToñ pe khanakte hue sikke jā’lī
ḳhushbueñ tez magar rang jhūTe
raat ke pichhle pahar chīḳhte haiñ
ruuh se 'aarī haiñ pinjar un ke
ḳhauf anhonī kā bechain kiye rahtā hai
bad-nazar koī lagī khā ga.ī ḳhushiyāñ un kī
mere ḳhāliq mirī takvīn ke māhir fankār
is na.e saal meñ vāpas kar de
un kī āñkhoñ kī chamak hiire sī
un ke hoñToñ kī hañsī motī sī
aao hum jashn manaen ki ye dharti apni
ye jahan-dida mu'ammar dharti
is ki zulfon ki siyahi mein baDha
ek aur tar-e-safed
jhurriyan chehre ki hairani nigahon mein samoe dekhen
tez-rau qadmon se baDhti hui ek aur shikan
jaise bichhDi ho kisi mele mein
dil ki shiryanon mein surKHi ki jagah zardi hai
raushni-rang ke tufan mein fursat kis ko
koi puchhe us se
dil ki raftar hui jati hai dhimi kyunkar
us ke sine mein hain madfun dukhon ke ambar
apni hi kokh se janme in zamin-zadon ke
qahqahe khokhle sun sun ke phaTa jata hai dil dharti ka
aur wo sochti hai
kho gae kyon wo shab-o-roz mere
meri bahon mein humakte the wo tifl-e-masum
jin ke honTon pe tabassum ke tilai sikke
aur aankhon mein thin KHwabon ki rupahli kirnen
dil ke goshon mein umangon ki dhanak phaili thi
aur ab haal ye hai
un ke honTon pe khanakte hue sikke ja’li
KHushbuen tez magar rang jhuTe
raat ke pichhle pahar chiKHte hain
ruh se 'ari hain pinjar un ke
KHauf anhoni ka bechain kiye rahta hai
bad-nazar koi lagi kha gai KHushiyan un ki
mere KHaliq meri takwin ke mahir fankar
is nae sal mein wapas kar de
un ki aankhon ki chamak hire si
un ke honTon ki hansi moti si
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.