sal-e-nau
har samt kyoñ jahāñ meñ phailī huī ḳhushī hai
har shai pe aaj bachcho kaisī ye tāzgī hai
aamad kā sub.h kis kī paiġhām de rahī hai
tum jānte nahīñ to lo ham batā rahe haiñ
sab sāl-e-nau kī bachcho ḳhushiyāñ manā rahe haiñ
har shai meñ dilkashī hai har shai meñ bāñkpan hai
har shaḳhs aaj dekho masrūr hai magan hai
har piir shādmāñ hai har tifl ḳhanda-zan hai
kuchh log hañs rahe haiñ kuchh muskurā rahe haiñ
sab sāl-e-nau kī bachcho ḳhushiyāñ manā rahe haiñ
kaliyāñ bhī khil uThī haiñ kaisī chaTak chaTak kar
aapas meñ kheltī haiñ shāḳheñ lachak lachak kar
ḳhush-āmdīd boleñ chiḌiyāñ chahak chahak kar
ḳhushiyoñ meñ gum papīhe sab ġhul machā rahe haiñ
sab sāl-e-nau kī bachcho ḳhushiyāñ manā rahe haiñ
maidāñ meñ aaj maḳhmal phailī huī hai har sū
gulshan meñ aaj kaisī mahkī huī hai ḳhushbū
sahrā meñ ghūmte haiñ ḳhush ho ke aaj aahū
pur-kaif ye manāzir dil ko lubhā rahe haiñ
sab sāl-e-nau kī bachcho ḳhushiyāñ manā rahe haiñ
har samt kyon jahan mein phaili hui KHushi hai
har shai pe aaj bachcho kaisi ye tazgi hai
aamad ka subh kis ki paigham de rahi hai
tum jaante nahin to lo hum bata rahe hain
sab sal-e-nau ki bachcho KHushiyan mana rahe hain
har shai mein dilkashi hai har shai mein bankpan hai
har shaKHs aaj dekho masrur hai magan hai
har pir shadman hai har tifl KHanda-zan hai
kuchh log hans rahe hain kuchh muskura rahe hain
sab sal-e-nau ki bachcho KHushiyan mana rahe hain
kaliyan bhi khil uThi hain kaisi chaTak chaTak kar
aapas mein khelti hain shaKHen lachak lachak kar
KHush-amdid bolen chiDiyan chahak chahak kar
KHushiyon mein gum papihe sab ghul macha rahe hain
sab sal-e-nau ki bachcho KHushiyan mana rahe hain
maidan mein aaj maKHmal phaili hui hai har su
gulshan mein aaj kaisi mahki hui hai KHushbu
sahra mein ghumte hain KHush ho ke aaj aahu
pur-kaif ye manazir dil ko lubha rahe hain
sab sal-e-nau ki bachcho KHushiyan mana rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.