sal-e-nau
sāl-e-nau mubārak ho
des ke javānoñ ko
mehnatī kisānoñ ko
luuT kar jo khāte haiñ
aise be-īmānoñ ko
sāl-e-nau mubārak ho
des ke javānoñ ko
sāl-e-nau mubārak ho
chor aur sipāhī ko
rāhbar ko raahī ko
raat kī siyāhī ko
nit-na.ī tabāhī ko
sāl-e-nau mubārak ho
chor ko sipāhī ko
sāl-e-nau mubārak ho
dost aur dushman ko
ḳhaar phuul dushman ko
rāhzan virappan ko
be-hayā khule-pan ko
aise dūrdarshan ko
sāl-e-nau mubārak ho
dost aur dushman ko
sāl-e-nau mubārak ho
matlabī zamāne ko
har na.e purāne ko
de ḳhudā na 'shamsī' ko
maat muft khāne ko
sāl-e-nau mubārak ho
matlabī zamāne ko
sal-e-nau mubarak ho
des ke jawanon ko
mehnati kisanon ko
luT kar jo khate hain
aise be-imanon ko
sal-e-nau mubarak ho
des ke jawanon ko
sal-e-nau mubarak ho
chor aur sipahi ko
rahbar ko rahi ko
raat ki siyahi ko
nit-nai tabahi ko
sal-e-nau mubarak ho
chor ko sipahi ko
sal-e-nau mubarak ho
dost aur dushman ko
KHar phul dushman ko
rahzan wirappan ko
be-haya khule-pan ko
aise durdarshan ko
sal-e-nau mubarak ho
dost aur dushman ko
sal-e-nau mubarak ho
matlabi zamane ko
har nae purane ko
de KHuda na 'shamsi' ko
mat muft khane ko
sal-e-nau mubarak ho
matlabi zamane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.