sal ka iKHtitam
saal apne iḳhtitām par udaas lauT rahā hai
bārah mahīne udaas rahne ke baad
maiñ ab muskurāne kī mashqeñ kar rahā huuñ
taaki maiñ bhī na.e saal meñ muskurā sakūñ
añdhere ne ujāle ke saath mil kar
jhagḌā ḳhatm kar ke ek ḳhufiya muāhida kar liyā hai
raat ab añdhere ke sautele
ravayye se ḳhaufzada hai
ikkīs december kī raat maiñ ne apnī zindagī kī
tamām filoñ kī chhān-bīn kī magar
mujhe sukūn ke saare safhāt ḳhālī mile
raat ke vaqt āsmān se
bahne vaalī udāsī ab tham chukī hai
chamakte sitāroñ ne sāl-bhar āsmān ko
ḳhūb-sūratī baḳhshne ke baad ab ma.azarat kar lī hai
tamām ġham-zada logoñ ne mushāvaratī ijlās meñ udāsī ko devī muqarrar kar diyā hai
sāl-bhar udāsiyāñ ḳharīdne vaale būḌhe ne guzishta raat
zindagī se ma.azarat kar lī hai
lekin saal ab dinoñ se mushāvarat ke baad
terahveñ mahīne kī paidā.ish kā soch rahā hai
sal apne iKHtitam par udas lauT raha hai
barah mahine udas rahne ke baad
main ab muskurane ki mashqen kar raha hun
taki main bhi nae sal mein muskura sakun
andhere ne ujale ke sath mil kar
jhagDa KHatm kar ke ek KHufiya muahida kar liya hai
raat ab andhere ke sautele
rawayye se KHaufzada hai
ikkis december ki raat main ne apni zindagi ki
tamam filon ki chhan-bin ki magar
mujhe sukun ke sare safhat KHali mile
raat ke waqt aasman se
bahne wali udasi ab tham chuki hai
chamakte sitaron ne sal-bhar aasman ko
KHub-surati baKHshne ke baad ab mazarat kar li hai
tamam gham-zada logon ne mushawarati ijlas mein udasi ko dewi muqarrar kar diya hai
sal-bhar udasiyan KHaridne wale buDhe ne guzishta raat
zindagi se mazarat kar li hai
lekin sal ab dinon se mushawarat ke baad
terahwen mahine ki paidaish ka soch raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.