saneha
patte patte ke lab par yahī thī sadā
ye havāoñ pe bhī saaf tahrīr thā
ka.ī rut bahāroñ kī phūloñ kā mausam gayā
maiñ magar aañkh mūñde hue vahm is ko samajhtā rahā
jo na honā thā vo sāniha ho gayā
shak kī dīmak yaqīñ ke sutūñ khā ga.ī
e'timād-o-mohabbat ke ghar be-yaqīnī kī dīvār se baT ga.e
saath chalte the jo rāste haT ga.e
jo na honā thā vo sāniha ho gayā
aur maiñ vahm is ko samajhtā rahā
khul chuke haiñ haqā.eq ke dar
saaf sab aa rahā hai nazar
jāntā huuñ ki vahm ye nahīñ hai magar
chāhtā huuñ ise vahm kahtā rahūñ
patte patte ke lab par yahi thi sada
ye hawaon pe bhi saf tahrir tha
kai rut bahaaron ki phulon ka mausam gaya
main magar aankh munde hue wahm is ko samajhta raha
jo na hona tha wo saniha ho gaya
shak ki dimak yaqin ke sutun kha gai
e'timad-o-mohabbat ke ghar be-yaqini ki diwar se baT gae
sath chalte the jo raste haT gae
jo na hona tha wo saniha ho gaya
aur main wahm is ko samajhta raha
khul chuke hain haqaeq ke dar
saf sab aa raha hai nazar
jaanta hun ki wahm ye nahin hai magar
chahta hun ise wahm kahta rahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.