sanp kamra aur main
tañg kamre meñ kuchh saañp haiñ
aur maiñ
farsh par laal āñkheñ dikhāte hue surḳh añgāroñ se
ḳhud ko mahfūz rakhne meñ masrūf huuñ
aur kamre kī chhat
raushnī kī lakīreñ sameTe khaḌī hai
ġharaz
paañv ko surḳh añgāroñ se
sar ko chubhtī huī raushnī kī lakīroñ se mahfūz rakhne meñ maiñ
munhamik huuñ
kaale piile hare
saañp bhī
mujh ko Dasne chale aa rahe haiñ
magar meñ unheñ maar Dālūñgā ik din ye mujh ko yaqīñ hai
phir achānak maiñ ye sochtā huuñ
mere kamre meñ rauzan nahīñ hai koī
jis se bād-e-sabā chupke dar aa ke sho.aloñ ko dahkā sake
bulb ḳhāmosh hai
phir bhalā saañp kyuuñ ā.eñge
jism se vasvasoñ kī ye bosīda chādar haTā kar
sāf-suthre se bistar pe maiñ so rahā huuñ
kyuuñ ki pichhle janam se maiñ nirdosh huuñ
mirā tañg kamra
mujhe der se tak rahā hai
tang kamre mein kuchh sanp hain
aur main
farsh par lal aankhen dikhate hue surKH angaron se
KHud ko mahfuz rakhne mein masruf hun
aur kamre ki chhat
raushni ki lakiren sameTe khaDi hai
gharaz
panw ko surKH angaron se
sar ko chubhti hui raushni ki lakiron se mahfuz rakhne mein main
munhamik hun
kale pile hare
sanp bhi
mujh ko Dasne chale aa rahe hain
magar mein unhen mar Dalunga ek din ye mujh ko yaqin hai
phir achanak main ye sochta hun
mere kamre mein rauzan nahin hai koi
jis se baad-e-saba chupke dar aa ke shoalon ko dahka sake
bulb KHamosh hai
phir bhala sanp kyun aaenge
jism se waswason ki ye bosida chadar haTa kar
saf-suthre se bistar pe main so raha hun
kyun ki pichhle janam se main nirdosh hun
mera tang kamra
mujhe der se tak raha hai
- Book : Shahre be Chiragh Mein (Pg. 27)
- Author : Saeed Arifi
- Publication : Pahchan Publications (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.