sanp ko pakaD lo
mandir kī raushnī meñ
masjid kī raushnī meñ
kyoñ kohrā baḌh rahā hai
kyoñ kohrā chhā rahā hai
dīvār par ye kaalī
tasvīr kis ne khīñchī
kis ne banā diyā hai
kohre kā zard chehra
ik darmiyāñ hamāre
kyoñ chīḳhtī balā.eñ
āñgan meñ nāchtī haiñ
ma.asūm zard chehre
kamroñ meñ chhup rahe haiñ
maaoñ kī god ḳhālī
bahnoñ kī maañg suunī
ye kaun aa rahā hai
dahshat kā ruup dhāre
mandir kī raushnī meñ
masjid kī raushnī meñ
vo kaun hai jo yaaro
talvār ke qalam se
taqdīr likh rahā hai
merī aur tumhārī
vo kaun hai jo chhup kar
neze chalā rahā hai
ye āsmāñ kī laalī
mehñdī kī hai yā ḳhuuñ kī
kyoñ kohrā chhā rahā hai
kyoñ kohrā baḌh rahā hai
āñkhoñ meñ kyoñ hamārī
dhuāñ sā tairtā hai
mandir kī raushnī meñ
masjid kī raushnī meñ
mahbūb kī galī meñ
bārūd kī mahak hai
sūraj pighal rahā hai
dhartī laraz rahī hai
ik aag sī lagī hai
sahmī huī havā.eñ
sahmī huī fazā.eñ
gulshan jhulas rahā hai
bastī ujaḌ rahī hai
mahbūb kī galī meñ
ye kaun ro rahā hai
ye kis kā ghar jalā hai
ye kis kā ghar luTā hai
dil meñ hai ḳhauf taarī
lab sil ga.e haiñ mere
lab sil ga.e tumhāre
mandir kī raushnī meñ
masjid kī raushnī meñ
kaise yaqīn kar luuñ
insān mar gayā hai
kaise yaqīn kar luuñ
kohre kā zard chehra
hai darmiyāñ hamāre
kaise yaqīn kar luuñ
mahbūb kī galī meñ
bārūd kī mahak hai
dekho kahīñ ye chehra
badnām ho na jaa.e
dekho kahīñ ye kohra
har dil meñ bhar na jaa.e
aao use pakaḌ leñ
jo saañp ban gayā hai
mandir kī raushnī meñ
masjid kī raushnī meñ
mandir ki raushni mein
masjid ki raushni mein
kyon kohra baDh raha hai
kyon kohra chha raha hai
diwar par ye kali
taswir kis ne khinchi
kis ne bana diya hai
kohre ka zard chehra
ek darmiyan hamare
kyon chiKHti balaen
aangan mein nachti hain
masum zard chehre
kamron mein chhup rahe hain
maon ki god KHali
bahnon ki mang suni
ye kaun aa raha hai
dahshat ka rup dhaare
mandir ki raushni mein
masjid ki raushni mein
wo kaun hai jo yaro
talwar ke qalam se
taqdir likh raha hai
meri aur tumhaari
wo kaun hai jo chhup kar
neze chala raha hai
ye aasman ki lali
mehndi ki hai ya KHun ki
kyon kohra chha raha hai
kyon kohra baDh raha hai
aankhon mein kyon hamari
dhuan sa tairta hai
mandir ki raushni mein
masjid ki raushni mein
mahbub ki gali mein
barud ki mahak hai
suraj pighal raha hai
dharti laraz rahi hai
ek aag si lagi hai
sahmi hui hawaen
sahmi hui fazaen
gulshan jhulas raha hai
basti ujaD rahi hai
mahbub ki gali mein
ye kaun ro raha hai
ye kis ka ghar jala hai
ye kis ka ghar luTa hai
dil mein hai KHauf tari
lab sil gae hain mere
lab sil gae tumhaare
mandir ki raushni mein
masjid ki raushni mein
kaise yaqin kar lun
insan mar gaya hai
kaise yaqin kar lun
kohre ka zard chehra
hai darmiyan hamare
kaise yaqin kar lun
mahbub ki gali mein
barud ki mahak hai
dekho kahin ye chehra
badnam ho na jae
dekho kahin ye kohra
har dil mein bhar na jae
aao use pakaD len
jo sanp ban gaya hai
mandir ki raushni mein
masjid ki raushni mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.