sarban
sārbāñ nikle the jis vaqt gharoñ se apne
āshiyānoñ ko parinde bhī nahīñ chhoḌte jab
rāste
rastoñ kī āġhosh hī meñ so.e the
aur havā
sabz pahāḌoñ se nahīñ utrī thī
āsmāñ par abhī tāroñ kī sajī thī mahfil
sārbāñ nikle the jis vaqt gharoñ se apne
rañg ḳhvāboñ meñ abhī ghulte the
jism meñ vasl kī lazzat kā nasha baaqī thā
garm bistar meñ
''gul-e-ḳhūbī'' pareshāñ thī abhī
duudh se ḳhuub bharā
ek kaTorā thā tipā.ī pe dharā
sārbāñ nikle the jis vaqt safar par apne
chār-sū gahrī ḳhamoshī thī
chāñdnī riit ke siine pe abhī soī thī
aur dhīre se
sabā ḳhushbueñ bikhrātī thī
os se bhīgī huī
ghaas kī har pattī jhukī jaatī thī
raat ke niil meñ kuchh nuur ghulā jaatā thā
ye jahāñ ā.īna-ḳhāna sā nazar aatā thā
sārbāñ gahrī ḳhamoshī meñ gharoñ se nikle
lau charāġhoñ kī unheñ jhāñktī thī
dhuul qadmoñ se lipaTte hue ye kahtī thii:
tum kahīñ jaao na abhī
saa.e ashjār se rastoñ pe utar aa.e the
dar-o-dīvār ḳhamoshī se the fariyād-kunāñ
thiiñ jugālī meñ magan ūñTniyāñ
ghanTiyāñ jāgtī thiiñ
lazzat-e-vasl se mad.hosh havā jāgtī thī
pañkhuḌī hoñToñ pe ḳhāmosh duā jāgtī thī
chār-sū gahrī ḳhamoshī thī
fazā jāgtī thī
sārbāñ nikle the jis vaqt safar par apne
sarban nikle the jis waqt gharon se apne
aashiyanon ko parinde bhi nahin chhoDte jab
raste
raston ki aaghosh hi mein soe the
aur hawa
sabz pahaDon se nahin utri thi
aasman par abhi taron ki saji thi mahfil
sarban nikle the jis waqt gharon se apne
rang KHwabon mein abhi ghulte the
jism mein wasl ki lazzat ka nasha baqi tha
garm bistar mein
gul-e-KHubi pareshan thi abhi
dudh se KHub bhara
ek kaTora tha tipai pe dhara
sarban nikle the jis waqt safar par apne
chaar-su gahri KHamoshi thi
chandni rit ke sine pe abhi soi thi
aur dhire se
saba KHushbuen bikhraati thi
os se bhigi hui
ghas ki har patti jhuki jati thi
raat ke nil mein kuchh nur ghula jata tha
ye jahan aaina-KHana sa nazar aata tha
sarban gahri KHamoshi mein gharon se nikle
lau charaghon ki unhen jhankti thi
dhul qadmon se lipaTte hue ye kahti thi:
tum kahin jao na abhi
sae ashjar se raston pe utar aae the
dar-o-diwar KHamoshi se the fariyaad-kunan
thin jugali mein magan unTniyan
ghanTiyan jagti thin
lazzat-e-wasl se madhosh hawa jagti thi
pankhuDi honTon pe KHamosh dua jagti thi
chaar-su gahri KHamoshi thi
faza jagti thi
sarban nikle the jis waqt safar par apne
- Book : Raah-daari mein gunjti nazm (rekhta website) (Pg. 230)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.