sarban
khujūroñ se mahkī huī shaam thī
shutur par maal o asbāb thā aur maiñ ik sarā.e ke dar par khaḌā
raat karne ko ik boriye kā talabgār thā
TimTimātī huī sham.a kī lau meñ ibn-e-tamāma kā saaya
(jo māhaul ghere hue thaa)
use dekh kar yuuñ lagā jaise vo raushnī phāñktā ho
qavī-ul-jasāmat
harīs aañkh se lahza lahza Tapaktī kamīnī ḳhushī
bhāv-tāv meñ choukas choukas
asā aur laTkī huī riish
(do azdahoñ kī tarah)
vo sarā.e kī gandī fazā ko mahaktā huā ḳhuld kahtā
musāfir diram aur dīnār de kar vahāñ ḳhvāb karte
mujhe umm-e-lailā kī farmā.ish khā ga.ī haiñ
zamāne kā shutur aan pahuñchā hai aise kuoñ tak jahāñ tel hai
maiñ magar
aaj bhī is sarā.e meñ ibn-e-tamāma se bāteñ kiye jā rahā huuñ
abhī umm-e-lailā kī kuchh hasrateñ aur bhī haiñ
khujuron se mahki hui sham thi
shutur par mal o asbab tha aur main ek sarae ke dar par khaDa
raat karne ko ek boriye ka talabgar tha
TimTimati hui shama ki lau mein ibn-e-tamama ka saya
(jo mahaul ghere hue tha)
use dekh kar yun laga jaise wo raushni phankta ho
qawi-ul-jasamat
haris aankh se lahza lahza Tapakti kamini KHushi
bhaw-taw mein choukas choukas
asa aur laTki hui rish
(do azdahon ki tarah)
wo sarae ki gandi faza ko mahakta hua KHuld kahta
musafir diram aur dinar de kar wahan KHwab karte
mujhe umm-e-laila ki farmaish kha gai hain
zamane ka shutur aan pahuncha hai aise kuon tak jahan tel hai
main magar
aaj bhi is sarae mein ibn-e-tamama se baaten kiye ja raha hun
abhi umm-e-laila ki kuchh hasraten aur bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.