sawan ka andha
samajhdār shā.ir ne ahl-e-sitam kī samā.at ke dar ko bahut zor se khaTkhaTāyā
falak ke badan se lahū ris rahā thā jise dekh kar ye zamīñ ḳhūn-ālūd qai kar rahī thī
janāze bhī qabroñ se bāhar nikalne lage the
ye bārūd se ḳhuun ham-bistarī karne ke baad vīrān raste pe phailā huā thā
mashaqqat kā girya jūñhī hichkiyoñ meñ badalne lagā thā
to fauran pahāḌoñ ne apnī jagah chhoḌ dī thī
ye sun ke sitam karne vāloñ kī murda zabānoñ meñ jumbish huī jhuuT baktā hai shā.ir
yahāñ kuchh bhī aisā nahīñ hai
falak to samundar ke rangoñ meñ rangā huā hai
zamīñ sabz thī sabz hai aur harī hī rahegī
yahāñ ḳhuun kī surḳhī bilkul nahīñ hai
yahāñ sab harā hī harā hai
vo zill-e-ilāhī
vo jaañ kī amaañ dene vaale
shahanshāh-e-ālam ne ham ko ye sab kuchh batāyā
ḳhudā ham ko baḳhshe
hamāre shahanshāh-e-ālam kī aisī zabān-e-muqaddas hai jis par kabhī jhuuT reñgā nahīñ hai
phir ik dam unhī zulm ke nā-ḳhudāoñ kī āñkheñ barasne lagīñ jab unheñ yaad aaya
ki zill-e-ilāhī to sāvan meñ andhe hue the
samajhdar shair ne ahl-e-sitam ki samaat ke dar ko bahut zor se khaTkhaTaya
falak ke badan se lahu ris raha tha jise dekh kar ye zamin KHun-alud qai kar rahi thi
janaze bhi qabron se bahar nikalne lage the
ye barud se KHun ham-bistari karne ke baad viran raste pe phaila hua tha
mashaqqat ka girya junhi hichkiyon mein badalne laga tha
to fauran pahaDon ne apni jagah chhoD di thi
ye sun ke sitam karne walon ki murda zabanon mein jumbish hui jhuT bakta hai shair
yahan kuchh bhi aisa nahin hai
falak to samundar ke rangon mein ranga hua hai
zamin sabz thi sabz hai aur hari hi rahegi
yahan KHun ki surKHi bilkul nahin hai
yahan sab hara hi hara hai
wo zill-e-ilahi
wo jaan ki aman dene wale
shahanshah-e-alam ne hum ko ye sab kuchh bataya
KHuda hum ko baKHshe
hamare shahanshah-e-alam ki aisi zaban-e-muqaddas hai jis par kabhi jhuT renga nahin hai
phir ek dam unhi zulm ke na-KHudaon ki aankhen barasne lagin jab unhen yaad aaya
ki zill-e-ilahi to sawan mein andhe hue the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.