sawan
sāvan kā mahīna ye rim-jhim ghanghor ghaTā.eñ kyā kahnā
ehsās kī shiddat dil muztar bechain nigāheñ kyā kahnā
chham-chham kī sadā ye uudī ghaTā bikhre hue motī sabze par
kaliyoñ kā tabassum gul raqsāñ pī pī kī sadā.eñ kyā kahnā
dil un kī mohabbat pe nāzāñ maiñ aise tasavvur ke sadqe
vo saath haiñ sāhil hai maiñ huuñ bāñhoñ meñ haiñ bāñheñ kyā kahnā
jī chāhtā hai is 'ālam meñ kuchh apnī kaheñ kuchh un kī suneñ
vaise to vo aate rahte haiñ aise meñ jo aa.eñ kyā kahnā
har roz tasavvur meñ aksar hotī haiñ mulāqāteñ un se
taskīn-e-nazar ho jaatī hai vo aa.eñ na aa.eñ kyā kahnā
sawan ka mahina ye rim-jhim ghanghor ghaTaen kya kahna
ehsas ki shiddat dil muztar bechain nigahen kya kahna
chham-chham ki sada ye udi ghaTa bikhre hue moti sabze par
kaliyon ka tabassum gul raqsan pi pi ki sadaen kya kahna
dil un ki mohabbat pe nazan main aise tasawwur ke sadqe
wo sath hain sahil hai main hun banhon mein hain banhen kya kahna
ji chahta hai is 'alam mein kuchh apni kahen kuchh un ki sunen
waise to wo aate rahte hain aise mein jo aaen kya kahna
har roz tasawwur mein aksar hoti hain mulaqaten un se
taskin-e-nazar ho jati hai wo aaen na aaen kya kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.