Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sawdhan

Ananth Faani

sawdhan

Ananth Faani

MORE BYAnanth Faani

    ye tumhāre hāthoñ meñ dil thamā isī liye rahā hai ki tum ise toḌ do

    bhale TuuT jāogī ḳhud bhī tum

    ye gale lagā.egā tum ko aur

    kisī bam tarah phaTegā phir

    ise sirf vasl nahīñ

    firāq bhī chāhiye

    ki ye nazm kah sake hijr par

    ye vo laḌkā hai

    jise jaun ban ke dikhānā hai

    ise shā'irī se naam apnā kamānā hai

    ise tum nahīñ ise fārehā koī chāhiye

    ise shā'irī ke liye gila koī chāhiye

    ise tum nahīñ

    ise misra' chāhiye

    sāvdhān

    ye tumhaare hathon mein dil thama hi isi liye raha hai ki tum ise toD do

    bhale TuT jaogi KHud bhi tum

    ye gale lagaega tum ko aur

    kisi bam ki tarah phaTega phir

    ise sirf wasl nahin

    firaq bhi chahiye

    ki ye nazm kah sake hijr par

    ye wo laDka hai

    jise jaun ban ke dikhana hai

    ise sha'iri se hi nam apna kamana hai

    ise tum nahin ise fareha koi chahiye

    ise sha'iri ke liye gila koi chahiye

    ise tum nahin

    ise misra' chahiye

    sawdhan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now