saya-e-gurezan
dil hī to hai na sañg-o-ḳhisht
dard se bhar gayā bahut
ro.e haiñ ham hazār baar
dar pe tumhāre baiTh ke
chilman uThā ke ek din
dekhā nahīñ janāb ne
dair nahīñ haram nahīñ dar nahīñ āstāñ nahīñ
baiThe haiñ rahguzar pe ham
shāyad janāb kā guzar is rahguzar se ho kabhī
ham dekh leñge gar tumheñ
āñkhoñ meñ diid aa.egī
ham ko naved-e-amn kī thoḌī sī bhiik chāhiye
thoḌā sā tum ko dekh ke
halchaleñ machī haiñ jo sīna-e-soz meñ bahut
thoḌā sā chain pā.eñgī
vā hasratā ki yaar ne khīñchā sitam se apnā haath
ham ko harīs-e-lazzat-e-āzār soch ke
aur is fareb meñ vo ḳhud
ik raat ḳhvāb meñ aa ga.e
bosa diyā sharāb bhī dī
āñkhoñ ko chuum chuum kar ham se kahā
ki ab to vahshat-e-dil-o-dimāġh
ātish meñ jā ke pheñk de
ab bhī sañbhal vagarna phir
ik aisī shab bhī aa.egī
sāya-e-gurezāñ ho ke jab
tujh ko vo chhoḌ jā.egā
dil hi to hai na sang-o-KHisht
dard se bhar gaya bahut
roe hain hum hazar bar
dar pe tumhaare baiTh ke
chilman uTha ke ek din
dekha nahin janab ne
dair nahin haram nahin dar nahin aastan nahin
baiThe hain rahguzar pe hum
shayad janab ka guzar is rahguzar se ho kabhi
hum dekh lenge gar tumhein
aankhon mein did aaegi
hum ko nawed-e-amn ki thoDi si bhik chahiye
thoDa sa tum ko dekh ke
halchalen machi hain jo sina-e-soz mein bahut
thoDa sa chain paengi
wa hasrata ki yar ne khincha sitam se apna hath
hum ko haris-e-lazzat-e-azar soch ke
aur is fareb mein wo KHud
ek raat KHwab mein aa gae
bosa diya sharab bhi di
aankhon ko chum chum kar hum se kaha
ki ab to wahshat-e-dil-o-dimagh
aatish mein ja ke phenk de
ab bhi sanbhal wagarna phir
ek aisi shab bhi aaegi
saya-e-gurezan ho ke jab
tujh ko wo chhoD jaega
- Book : Banam-e-Ghalib (Pg. 40)
- Author : Salahuddin Parvez
- Publication : Educational Publishing House, Aligrah (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.