saya
din bhar ke masrūf qadam
jab lauT ke ghar ko aate haiñ
to
apne saath thake shānoñ par
shal hāthoñ kā baar uThā.e
bojhal āñkhoñ kī maddham bīnā.ī le kar
aao aazar sunñe kī ik halkī sī ummīd liye
ghar kī dahlīz pe ruk jaate haiñ
aur purānā darvāza
jab khultā hai to
sab mānūs darīche bāñheñ phailā kar
in qadmoñ kī aahaT par
aane vaale is paikar ko
shaam kī ḳhāmoshī meñ ishāre karte haiñ
kamre kī kursī ke sukūñ-parvar haiñ daste
bistar kī ujlī chādar hai dost-navāz
takiye kī narmī meñ hamdardī kī garmī
kuuT kuuT kar bharī huī hai
chāroñ or mire kamre meñ
ḳhushbū sī hai
jaise tumhārā
ik saaya sā
mere saath rahā kartā hai
din bhar ke masruf qadam
jab lauT ke ghar ko aate hain
to
apne sath thake shanon par
shal hathon ka bar uThae
bojhal aankhon ki maddham binai le kar
aao aazar sunne ki ek halki si ummid liye
ghar ki dahliz pe ruk jate hain
aur purana darwaza
jab khulta hai to
sab manus dariche banhen phaila kar
in qadmon ki aahaT par
aane wale is paikar ko
sham ki KHamoshi mein ishaare karte hain
kamre ki kursi ke sukun-parwar hain daste
bistar ki ujli chadar hai dost-nawaz
takiye ki narmi mein hamdardi ki garmi
kuT kuT kar bhari hui hai
chaaron or mere kamre mein
KHushbu si hai
jaise tumhaara
ek saya sa
mere sath raha karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.