sab darwaze khol de
maiñ ne apne ghar kī saarī khiḌkiyāñ sab darvāze
khol diye haiñ
surḳh, sunahrī sañg uushā bhī aa.e
kachche duudh se muñh dho kar chandā bhī aa.e
tez nukīlī dhuup bhī jhāñke
narm, suhānī havā bhī aa.e
taaza khile hue phūloñ kī
man-mohan ḳhushbū bhī aa.e
des des kī ḳhaak chhāntā huā koī sādhū bhī aa.e
aur kabhī bhūle se
shāyad
tū bhī aa.e
yugoñ yugoñ se
maiñ ne
apne dil kī saarī khiḌkiyāñ sab darvāze
khol rakhe haiñ
main ne apne ghar ki sari khiDkiyan sab darwaze
khol diye hain
surKH, sunahri sang usha bhi aae
kachche dudh se munh dho kar chanda bhi aae
tez nukili dhup bhi jhanke
narm, suhani hawa bhi aae
taza khile hue phulon ki
man-mohan KHushbu bhi aae
des des ki KHak chhanta hua koi sadhu bhi aae
aur kabhi bhule se
shayad
tu bhi aae
yugon yugon se
main ne
apne dil ki sari khiDkiyan sab darwaze
khol rakhe hain
- Book : Chand Chiragh (Pg. 38)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.