sab kuchh ho sakta hai
safed chamelī kī harī shāḳhoñ par
siyāh gulāb khil saktā hai
sitāre raat kī ūñghtī sīḌhiyoñ se
chhalāñg lagā kar zamīn par aa sakte haiñ
chāñd aur sūraj kisī āsmānī pul meñ
mulāqāt par muttafiq ho sakte haiñ
makḌī apne jaale meñ
insān ko phāñs saktī hai
samundar dariyā ke qadmoñ meñ gir saktā hai
daraḳhtoñ par hiire ug sakte haiñ
zamīn aur āsmān sab se nazar bachā kar
ek dūsre ko chhū sakte haiñ
dīvār chal saktī hai
patthar bol sakte haiñ
yahāñ tak ki is kā.enāt meñ
kuchh bhī ho saktā hai
magar tum ḳhvāb meñ bhī
mere nahīñ ho sakte
safed chameli ki hari shaKHon par
siyah gulab khil sakta hai
sitare raat ki unghti siDhiyon se
chhalang laga kar zamin par aa sakte hain
chand aur suraj kisi aasmani pul mein
mulaqat par muttafiq ho sakte hain
makDi apne jale mein
insan ko phans sakti hai
samundar dariya ke qadmon mein gir sakta hai
daraKHton par hire ug sakte hain
zamin aur aasman sab se nazar bacha kar
ek dusre ko chhu sakte hain
diwar chal sakti hai
patthar bol sakte hain
yahan tak ki is kaenat mein
kuchh bhi ho sakta hai
magar tum KHwab mein bhi
mere nahin ho sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.