sabaq
kahīñ kahīñ pe harī sī shāḳheñ
haiñ apne ġhunchoñ pe muskurātī
kahīñ kahīñ pe haiñ sūkhe patte
udāsiyoñ ke sabaq sunāte
kahīñ kahīñ pe guloñ pe bhauñre
mohabbatoñ kī kahānī likhte
kahīñ kahīñ pe gulāb ishq ke
kitāb-e-dil meñ haiñ sūkhe milte
kahīñ pe dariyā kahīñ pe sahrā
kahīñ bahāreñ kahīñ ḳhizā.eñ
kahīñ tamāshā kahīñ ḳhāmoshī
kahīñ pe fasloñ kā lahlahānā
kahīñ pe banjar zamīñ Thikāna
kahīñ pe bārish qahr sī barse
kahīñ zamīñ ik qatre ko tarse
kahīñ fazāoñ meñ shoḳhiyāñ sī
kahīñ pe bikhrī udāsiyāñ sī
kisī kī āñkhoñ meñ mast jugnū
na.ī ibārat ke lafz likhte
kisī kī palkoñ pe ḳhvāb TuuTe
ajab udāsī meñ Duube Duube
ajab se manzar ajab se qisse
havāle mujh ko dikhā rahe haiñ
kahānī koī sunā rahe haiñ
sabaq ye mujh ko paḌhā rahe haiñ
kahin kahin pe hari si shaKHen
hain apne ghunchon pe muskuraati
kahin kahin pe hain sukhe patte
udasiyon ke sabaq sunate
kahin kahin pe gulon pe bhaunre
mohabbaton ki kahani likhte
kahin kahin pe gulab ishq ke
kitab-e-dil mein hain sukhe milte
kahin pe dariya kahin pe sahra
kahin bahaaren kahin KHizaen
kahin tamasha kahin KHamoshi
kahin pe faslon ka lahlahana
kahin pe banjar zamin Thikana
kahin pe barish qahr si barse
kahin zamin ek qatre ko tarse
kahin fazaon mein shoKHiyan si
kahin pe bikhri udasiyan si
kisi ki aankhon mein mast jugnu
nai ibarat ke lafz likhte
kisi ki palkon pe KHwab TuTe
ajab udasi mein Dube Dube
ajab se manzar ajab se qisse
hawale mujh ko dikha rahe hain
kahani koi suna rahe hain
sabaq ye mujh ko paDha rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.