sabhi chal rahe the
sabhī chal rahe the
koī sāmne aur koī pīchhe
koī saath saath
sabhī chal rahe the
koī ye tai kar ke chal rahā thā ki kahāñ jaanā hai
koī yuuñ hī saath ho liyā thā
koī kisī ko DhūñDne niklā thā
sabhī chal rahe the
sham.a kī tarah
momī vajūd
raushan rakhe hue
koī kahāñ chhūTā koī kahāñ rah gayā
kis ko kyā milā
kisī ko ḳhabar na thī
sabhī chal rahe the
us gahrī ḳhandaq kī or
jis meñ sab kī ātmā.eñ
sadiyoñ se paḌī suukh rahī haiñ
sabhi chal rahe the
koi samne aur koi pichhe
koi sath sath
sabhi chal rahe the
koi ye tai kar ke chal raha tha ki kahan jaana hai
koi yun hi sath ho liya tha
koi kisi ko DhunDne nikla tha
sabhi chal rahe the
shama ki tarah
momi wajud
raushan rakhe hue
koi kahan chhuTa koi kahan rah gaya
kis ko kya mila
kisi ko KHabar na thi
sabhi chal rahe the
us gahri KHandaq ki or
jis mein sab ki aatmaen
sadiyon se paDi sukh rahi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.