sabz inqalab
ye badalte hue mausamoñ kā samāñ
jagmagātī huī shoḳh pagDañDiyāñ
lahlahātī huī dhaan kī bāliyāñ
gungunātī huī nahr par chakkiyāñ
kār-ḳhānoñ meñ lohā pighaltā huā
aur khaliyān sonā ugaltā huā
gaañv ko faḳhr hai shahr ko naaz hai
vo agar ek naġhma to ye saaz hai
is na.ī zindagī kā ye e.ajāz hai
desh bhar kī ye bharpūr āvāz hai
apnī dhartī ko jannat-badāmāñ kareñ
koh ko kaaT kar ham gulistāñ kareñ
ḳhud-kifālat ke jazbe se māmūr haiñ
ḳhvāb kyā ab bhī ta.abīr se duur haiñ
ḳhud hī mālik haiñ ham ḳhud hī mazdūr haiñ
haath masrūf haiñ zehn masrūr haiñ
kitnī murda zamīnoñ meñ jaañ phūñk dī
apnī fasloñ meñ tāb-o-tavāñ phūñk dī
ye badalte hue manzaroñ kā samāñ
jagmagātī huī shoḳh pagDanDiyāñ
lahlahātī huī dhaan kī bāliyāñ
gungunātī huī nahr par chakkiyāñ
kār-ḳhānoñ meñ lohā pighaltā huā
aur khaliyān sonā ugaltā huā
ye badalte hue mausamon ka saman
jagmagati hui shoKH pagDanDiyan
lahlahati hui dhan ki baaliyan
gungunati hui nahr par chakkiyan
kar-KHanon mein loha pighalta hua
aur khaliyan sona ugalta hua
ganw ko faKHr hai shahr ko naz hai
wo agar ek naghma to ye saz hai
is nai zindagi ka ye eajaz hai
desh bhar ki ye bharpur aawaz hai
apni dharti ko jannat-badaman karen
koh ko kaT kar hum gulistan karen
KHud-kifalat ke jazbe se mamur hain
KHwab kya ab bhi tabir se dur hain
KHud hi malik hain hum KHud hi mazdur hain
hath masruf hain zehn masrur hain
kitni murda zaminon mein jaan phunk di
apni faslon mein tab-o-tawan phunk di
ye badalte hue manzaron ka saman
jagmagati hui shoKH pagDanDiyan
lahlahati hui dhan ki baaliyan
gungunati hui nahr par chakkiyan
kar-KHanon mein loha pighalta hua
aur khaliyan sona ugalta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.