sachchai
aao bachcho sāmne baiTho
qissa ek sunā.ūñ tum ko
jañgal meñ ik bhuuk kā maarā
lakḌī laane gayā bechāra
jañgal meñ thī naddī gahrī
gir ga.ī bechāre kī kulhāḌī
kyā karūñ dil meñ soch rahā thā
itne meñ ik aadmī aayā
kahne lagā kyuuñ tum ho fasurda
kuchh to batāo kyā hai sadma
bolā vo maiñ kyā kahūñ bhaa.ī
maiñ ne kulhāḌī apnī gañvā.ī
is naddī hī meñ vo paḌī hai
hālat merī aah burī hai
naddī meñ tab kuud gayā vo
kaisā bahādur insāñ thā vo
mil ga.ī naddī meñ vo kulhāḌī
ġhota maarā aur nikālī
dekhā to vo sone kī thī
pūchhā kyā hai yahī tumhārī
bolā ye nahīñ merī bhaa.ī
Dupkī us ne aur lagā.ī
ab lohe kī us ne nikālī
phir pūchhā kyā ye hai tumhārī
dekh ke ye ḳhush ho gayā us ko
aur kahā haañ yahī thī dekho
le kar ḳhush-ḳhush ghar ko sidhārā
kitnā sachchā thā bechāra
dekh ke sone kī vo kulhāḌī
us kī niyyat zarā na badlī
jī meñ agar lālach kuchh hotā
sone kī hargiz na vo khotā
burā hai lālach sach hai achchhā
'jauhar' kā bhī yahī hai kahnā
aao bachcho samne baiTho
qissa ek sunaun tum ko
jangal mein ek bhuk ka mara
lakDi lane gaya bechaara
jangal mein thi naddi gahri
gir gai bechaare ki kulhaDi
kya karun dil mein soch raha tha
itne mein ek aadmi aaya
kahne laga kyun tum ho fasurda
kuchh to batao kya hai sadma
bola wo main kya kahun bhai
main ne kulhaDi apni ganwai
is naddi hi mein wo paDi hai
haalat meri aah buri hai
naddi mein tab kud gaya wo
kaisa bahadur insan tha wo
mil gai naddi mein wo kulhaDi
ghota mara aur nikali
dekha to wo sone ki thi
puchha kya hai yahi tumhaari
bola ye nahin meri bhai
Dupki us ne aur lagai
ab lohe ki us ne nikali
phir puchha kya ye hai tumhaari
dekh ke ye KHush ho gaya us ko
aur kaha han yahi thi dekho
le kar KHush-KHush ghar ko sidhaara
kitna sachcha tha bechaara
dekh ke sone ki wo kulhaDi
us ki niyyat zara na badli
ji mein agar lalach kuchh hota
sone ki hargiz na wo khota
bura hai lalach sach hai achchha
'jauhar' ka bhi yahi hai kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.