safar aisa hai kahan ka
jis jahān meñ merī āvāz ne mujhe chhoḌā thā
vo ab merī samā.at se pare hai
mujhe kuchh sunā.ī nahīñ detā
mushkil ye hai ki aadmī bahut kuchh sun saktā na dekh saktā hai
phir bhī shāyad kuchh aisā hotā hai ki
kisī bhī marne vaale aadmī kī
āñkhoñ kī kagār par jab us kī
jaan Thahar jaatī hai
tū us ke naam kā parinda
use achānak uḌā le jaatā hai
ye maut hotī hai
sivā.e is ke ki marne vaalā use dekh nahīñ saktā
mujhe yaad nahīñ
ki maiñ ne kis se mohabbat kī
aur kis se nafrat kī
sivā.e is ke ki maiñ ne vo saare gunāh kiye
jo mujhe is liye yaad haiñ
ki ek umr tak unheñ
mujh meñ rachāyā basāyā aur khilāyā pilāyā gayā
mujhe yaad hai
ki maiñ ne koī aisī ġhizā nahīñ khaa.ī
jo merī ruuh meñ utar jaatī
mujhe yaad hai
ki maiñ ne koī aisā libās nahīñ pahnā
jo mere bātin meñ utar jaatā
maiñ zindagī bhar bhūkā rahā
aur nañgā rahā
yahāñ tak ki mere paas
rāh-e-haq meñ kuchh dene ke liye bhī nahīñ
na koī nekī na koī burā.ī
jis jahan mein meri aawaz ne mujhe chhoDa tha
wo ab meri samaat se pare hai
mujhe kuchh sunai nahin deta
mushkil ye hai ki aadmi bahut kuchh sun sakta na dekh sakta hai
phir bhi shayad kuchh aisa hota hai ki
kisi bhi marne wale aadmi ki
aankhon ki kagar par jab us ki
jaan Thahar jati hai
tu us ke nam ka parinda
use achanak uDa le jata hai
ye maut hoti hai
siwae is ke ki marne wala use dekh nahin sakta
mujhe yaad nahin
ki main ne kis se mohabbat ki
aur kis se nafrat ki
siwae is ke ki main ne wo sare gunah kiye
jo mujhe is liye yaad hain
ki ek umr tak unhen
mujh mein rachaya basaya aur khilaya pilaya gaya
mujhe yaad hai
ki main ne koi aisi ghiza nahin khai
jo meri ruh mein utar jati
mujhe yaad hai
ki main ne koi aisa libas nahin pahna
jo mere baatin mein utar jata
main zindagi bhar bhuka raha
aur nanga raha
yahan tak ki mere pas
rah-e-haq mein kuchh dene ke liye bhi nahin
na koi neki na koi burai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.