safar
in teḌhī-meḌhī
pagDanDiyoñ par chalnā
kitnā dushvār thā mere liye
tum to is ke aadī the
tab hī to hamesha aage
nikalte ga.e the
koī ehsās
koī dard tumhāre pairoñ kī
beḌī nahīñ ban sakā thā
saare rāste saarī galiyāñ
kūche
sab tumhāre jaane pahchāne the
ajnabī to ham the
jo tumhārī uñgliyoñ ko
pakaḌ kar chal rahe the
aur tum biich raah meñ
kinārā kar ga.e the
merī naav ko mañjdhār meñ chhoḌ kar
tumheñ zindagī kā
zyāda moh thā
in teDhi-meDhi
pagDanDiyon par chalna
kitna dushwar tha mere liye
tum to is ke aadi the
tab hi to hamesha aage
nikalte gae the
koi ehsas
koi dard tumhaare pairon ki
beDi nahin ban saka tha
sare raste sari galiyan
kuche
sab tumhaare jaane pahchane the
ajnabi to hum the
jo tumhaari ungliyon ko
pakaD kar chal rahe the
aur tum bich rah mein
kinara kar gae the
meri naw ko manjdhaar mein chhoD kar
tumhein zindagi ka
zyaada moh tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.