safar jari hai
ābla-pā.ī aur dasht-e-junūñ
ham-safar haiñ sāthī haiñ
be-shu.ūrī meñ in kā saath huā
aur bachpan parinda-e-ma.asūm
rāste meñ kahīñ se guzrā thā
maiñ ne hasrat se us ko dekhā thā
phir makr chāñdnī thī yā ki sarāb
yā bilā nasha kah lo sharāb
vo javānī thī yā ki ek azaab
muskurā kar qarīb se guzrī
haañ magar ham-safar haiñ sāthī haiñ
ābla-pā.ī aur dasht-e-junūñ
safar hai ek balā kā
hunūz jaarī hai
aabla-pai aur dasht-e-junun
ham-safar hain sathi hain
be-shuuri mein in ka sath hua
aur bachpan parinda-e-masum
raste mein kahin se guzra tha
main ne hasrat se us ko dekha tha
phir makr chandni thi ya ki sarab
ya bila nasha kah lo sharab
wo jawani thi ya ki ek azab
muskura kar qarib se guzri
han magar ham-safar hain sathi hain
aabla-pai aur dasht-e-junun
safar hai ek bala ka
hunuz jari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.