safar ka dusra marhala
chalī kab havā kab miTā naqsh-e-pā
kab girī ret kī vo ridā
jis meñ chhupte hue tū ne mujh se kahā
aage baḌh aage baḌhtā hī jā
muḌ ke takne kā ab fā.eda
koī chehra koī chaap maazī kī koī sadā kuchh nahīñ ab
ai gale ke tanhā muhāfiz tirā ab muhāfiz ḳhudā
mere hoñToñ pe kaf
mere ra.asha-zada bāzuoñ se laTaktī huī gosht kī dhajjiyāñ
aur lākhoñ baras kā buḌhāpā
jo mujh meñ samā kar humakne lagā
mujh ko maazī se kaTne kā kuchh Dar nahīñ
apne ham-zād ko rū-ba-rū pā ke maiñ ġham-zada bhī nahīñ
ye asā jhukte shānoñ pe kaalī abā aur gale ke chalne kā paiham sadā
ab yahī merī qismat yahī aasrā
chali kab hawa kab miTa naqsh-e-pa
kab giri ret ki wo rida
jis mein chhupte hue tu ne mujh se kaha
aage baDh aage baDhta hi ja
muD ke takne ka ab faeda
koi chehra koi chap mazi ki koi sada kuchh nahin ab
ai gale ke tanha muhafiz tera ab muhafiz KHuda
mere honTon pe kaf
mere rasha-zada bazuon se laTakti hui gosht ki dhajjiyan
aur lakhon baras ka buDhapa
jo mujh mein sama kar humakne laga
mujh ko mazi se kaTne ka kuchh Dar nahin
apne ham-zad ko ru-ba-ru pa ke main gham-zada bhi nahin
ye asa jhukte shanon pe kali aba aur gale ke chalne ka paiham sada
ab yahi meri qismat yahi aasra
- Book : Nirdbaan (Pg. 75)
- Author : Wazir Agha
- Publication : Nusrat Anwar (1979)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.