safar par nikla musafir palaT kar apne ghar ko aa jata hai
safar par niklā musāfir palaT kar apne ghar ko aa jaatā hai
zamīn dā.ere meñ ghuum kar phir usī maqām se apne safar kī ibtidā kartī hai
vaqt ek tez raftār ghoḌā hai
jo haal ko maazī meñ tabdīl kartā mustaqbil kī taraf dauḌā chalā jā rahā hai
kumhār kā chaak ghuum rahā hai
aur
kumhār ke mashshāq haath miTTī se muḳhtalif paikar tarāsh rahe haiñ
tahzīb-o-tamaddun intihā ko pahuñch kar phir apnī ibtidā ko palaTte haiñ
tumhārī pasand nā-pasand par tumhāre aslāf asar-andāz haiñ
aadmī apne sanskāroñ se bañdhā hai
ye kāl-chakr
kumhār kā ghūmtā huā pahiya
tumhārī tahqīq-e-tajdīd hai tumhāre pahloñ kī
har mukammal nā-mukammal hai
har taḳhlīq
ek tajassus nā-mukammal se mukammal kī taraf
zindagī
ikaa.ī meñ ikaa.ī ke jam.a kā amal
lā-mahdūd tak
safar par nikla musafir palaT kar apne ghar ko aa jata hai
zamin daere mein ghum kar phir usi maqam se apne safar ki ibtida karti hai
waqt ek tez raftar ghoDa hai
jo haal ko mazi mein tabdil karta mustaqbil ki taraf dauDa chala ja raha hai
kumhaar ka chaak ghum raha hai
aur
kumhaar ke mashshaq hath miTTi se muKHtalif paikar tarash rahe hain
tahzib-o-tamaddun intiha ko pahunch kar phir apni ibtida ko palaTte hain
tumhaari pasand na-pasand par tumhaare aslaf asar-andaz hain
aadmi apne sanskaron se bandha hai
ye kal-chakr
kumhaar ka ghumta hua pahiya
tumhaari tahqiq-e-tajdid hai tumhaare pahlon ki
har mukammal na-mukammal hai
har taKHliq
ek tajassus na-mukammal se mukammal ki taraf
zindagi
ikai mein ikai ke jama ka amal
la-mahdud tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.