safar raegan
ye pagDanDī
chalte chalte jañgal meñ se phirtī phirātī duur haiñ
ghane ghane peḌoñ meñ chhupe
ik mandir tak le jaatī hai
bahut purānī kā.ī-zada sī sīḌhī chaḌh kar
mandir meñ jab dāḳhil huuñ to
farsh ke uupar bikhre hue
kuchh piile patte milte haiñ
yā kahīñ kahīñ pe jaltī jaltī āñkhoñ vaale saañp dikhā.ī dete haiñ
dīvāroñ par naqsh purāne maddham maddham
bahut purāne qisse le kar jaag rahe haiñ
jin se kuchh anjānī sī ḳhushbueñ lipTī
haañp rahī haiñ
beach meñ ik asthān ke uupar
pyārī sī ik mūrat hai
jo janm janm se sochoñ ke pātāl meñ Duubī
jaag rahī hai
kabhī kabhī ik chhan-chhan chhan-chhan
havā meñ tairtī jaatī hai
aur haule haule siskī ban kar
bikhar bikhar sī jaatī hai
phir gahrī chup meñ kone se
chamgādaḌ koī uḌtī hai
to chup kī chīḳheñ
mandir kī har mūrat ko dahlātī haiñ
jaane kab se aisā hotā aayā hai
ye gūñgā mandir pagDanDī ko
ḳhālī ḳhālī āñkhoñ se
yūñhī dekhtā rahtā hai
aur pagDanDī is gahrī chup se
tañg sī aa kar
ulTe qadmoñ jañg meñ se phirtī phirātī
vāpas shahr ko jaatī hai
aur koltār kī saḌkoñ meñ kho jaatī hai
ye pagDanDi
chalte chalte jangal mein se phirti phiraati dur hain
ghane ghane peDon mein chhupe
ek mandir tak le jati hai
bahut purani kai-zada si siDhi chaDh kar
mandir mein jab daKHil hun to
farsh ke upar bikhre hue
kuchh pile patte milte hain
ya kahin kahin pe jalti jalti aankhon wale sanp dikhai dete hain
diwaron par naqsh purane maddham maddham
bahut purane qisse le kar jag rahe hain
jin se kuchh anjaani si KHushbuen lipTi
hanp rahi hain
beach mein ek asthan ke upar
pyari si ek murat hai
jo janm janm se sochon ke patal mein Dubi
jag rahi hai
kabhi kabhi ek chhan-chhan chhan-chhan
hawa mein tairti jati hai
aur haule haule siski ban kar
bikhar bikhar si jati hai
phir gahri chup mein kone se
chamgadaD koi uDti hai
to chup ki chiKHen
mandir ki har murat ko dahlati hain
jaane kab se aisa hota aaya hai
ye gunga mandir pagDanDi ko
KHali KHali aankhon se
yunhi dekhta rahta hai
aur pagDanDi is gahri chup se
tang si aa kar
ulTe qadmon jang mein se phirti phiraati
wapas shahr ko jati hai
aur koltar ki saDkon mein kho jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.