sahaara
zahr piitā rahā hoñToñ ko masaltā hī rahā
ye gumāñ thā ki mai-e-nāb se jī bhar na sakā
kaun aaya thā ki jaagā thā mire dil kā charāġh
kaun aaya thā ki chhalkā thā mohabbat kā ayāġh
ḳhvāb ke Dher se pahle to dhuāñ uThtā thā
kaun aaya ki isī Dher se gulzār banā
maiñ ne gulzār hī samjhā thā magar kyā kiije
raat bhar chain na aaya kisī karvaT mujh ko
chashm-e-be-ḳhvāb kī saugand kise duuñ āḳhir
zard hote hue chehre meñ asar bhī to nahīñ
merī vīrān nigāhoñ meñ guhar bhī to nahīñ
ab na jā.ūñgā maiñ afsar ke makāñ kī jānib
maiñ guhar bech ke kuchh pā na sakūñgā shāyad
phir koī aa ke lab-e-bām hī rah jā.egā
maiñ jahannum kī usī aag meñ jal jā.ūñgā
lekin ab ye na kahūñgā ki sahārā na milā
zahr pita raha honTon ko masalta hi raha
ye guman tha ki mai-e-nab se ji bhar na saka
kaun aaya tha ki jaga tha mere dil ka charagh
kaun aaya tha ki chhalka tha mohabbat ka ayagh
KHwab ke Dher se pahle to dhuan uThta tha
kaun aaya ki isi Dher se gulzar bana
main ne gulzar hi samjha tha magar kya kije
raat bhar chain na aaya kisi karwaT mujh ko
chashm-e-be-KHwab ki saugand kise dun aaKHir
zard hote hue chehre mein asar bhi to nahin
meri viran nigahon mein guhar bhi to nahin
ab na jaunga main afsar ke makan ki jaanib
main guhar bech ke kuchh pa na sakunga shayad
phir koi aa ke lab-e-baam hi rah jaega
main jahannum ki usi aag mein jal jaunga
lekin ab ye na kahunga ki sahaara na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.