sahar hone tak
larazte sāyoñ se mub.ham nuqūsh ubharte haiñ
ik an-kahī sī kahānī, ik an-sunī sī baat
tavīl raat kī ḳhāmoshiyoñ meñ Dhaltī hai
fasurda lamhe ḳhalāoñ meñ rañg bharte haiñ
sadā.eñ zehn kī pinhā.iyoñ meñ gūñjtī haiñ
ḳhizāñ ke saa.e jhalakte haiñ terī āñkhoñ meñ
tirī nigāhoñ meñ rafta bahāroñ kā ġham hai''
hayāt ḳhvāb-gahoñ meñ panāh DhūñDtī hai
fasurda lamhe ḳhalāoñ meñ rañg bharte haiñ
ye gardish-e-mah-o-sāl aazmā chukī hai jinheñ
ye gardish-e-mah-o-sāl aazmā rahī hai hameñ
magar ye soch ki anjām-e-kār kyā hogā
davām terā muqaddar hai aur na merā nasīb
davām kis ko milā hai jo ham ko mil jātā?
ye chand lamha agar jāvedāñ na ho jaate
maiñ sochtā huuñ ki apnā nishān kyā hotā
kahāñ pe TūTtā jabr-e-hayāt kā afsūñ
kahāñ pahuñch ke ḳhayāloñ ko aasrā miltā?
fasurda lamho, abhī aur be-karāñ ho jaao
fasurda lamho, aur be-karāñ ho jaao
larazte sayon se mubham nuqush ubharte hain
ek an-kahi si kahani, ek an-suni si baat
tawil raat ki KHamoshiyon mein Dhalti hai
fasurda lamhe KHalaon mein rang bharte hain
sadaen zehn ki pinhaiyon mein gunjti hain
KHizan ke sae jhalakte hain teri aankhon mein
teri nigahon mein rafta bahaaron ka gham hai
hayat KHwab-gahon mein panah DhunDti hai
fasurda lamhe KHalaon mein rang bharte hain
ye gardish-e-mah-o-sal aazma chuki hai jinhen
ye gardish-e-mah-o-sal aazma rahi hai hamein
magar ye soch ki anjam-e-kar kya hoga
dawam tera muqaddar hai aur na mera nasib
dawam kis ko mila hai jo hum ko mil jata?
ye chand lamha agar jawedan na ho jate
main sochta hun ki apna nishan kya hota
kahan pe TuTta jabr-e-hayat ka afsun
kahan pahunch ke KHayalon ko aasra milta?
fasurda lamho, abhi aur be-karan ho jao
fasurda lamho, aur be-karan ho jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.