sahar ke ufuq se
sahar ke ufuq se
der tak bārish-e-sañg hotī rahī
aur shīshe ke saare makāñ Dher ho ke rahe
dast-o-bāzū kaTe
paañv majrūh the
zehn meñ kirchiyāñ khub ga.iiñ
ab ke chehre pe āñkheñ nahīñ
zaḳhm the
kis tarah jāgte
kis liye jāgte
der tak yūñhī sote rahe
log kyā jaane kyā soch kar
mutma.in ho ga.e
log ḳhāmosh the
sahar ke ufuq se
der tak barish-e-sang hoti rahi
aur shishe ke sare makan Dher ho ke rahe
dast-o-bazu kaTe
panw majruh the
zehn mein kirchiyan khub gain
ab ke chehre pe aankhen nahin
zaKHm the
kis tarah jagte
kis liye jagte
der tak yunhi sote rahe
log kya jaane kya soch kar
mutmain ho gae
log KHamosh the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.