saheli bujh paheli
parcham sar-e-maidān-e-viġhā khol rahā hai
mansūr ke parde meñ ḳhudā bol rahā hai
kyā sail-e-baġhāvat hai murīdoñ kī safoñ meñ
pīrān-e-tahī-dast kā dil Dol rahā hai
ai vaa.e sabā aqrab-e-jarrāra chaman meñ
sarsar ke ishārāt pe bis ghol rahā hai
afrang ke derīna ġhulāmoñ kī razā par
ḳhud pīr-e-haram band-e-qabā khol rahā hai
kuchh baat hī aisī hai ki paimāna-e-zar meñ
ik rind-e-tunuk-zarf lahū tol rahā hai
buz-ġhāla-e-afrang shaġhāloñ ke jilau meñ
kis ThāTh se zarġhām-sifat bol rahā hai
tārīḳh ke vīrāna-e-ābād meñ 'shorish'
kuchh qīmtī motī haiñ qalam rol rahā hai
parcham sar-e-maidan-e-wigha khol raha hai
mansur ke parde mein KHuda bol raha hai
kya sail-e-baghawat hai muridon ki safon mein
piran-e-tahi-dast ka dil Dol raha hai
ai wae saba aqrab-e-jarrara chaman mein
sarsar ke ishaaraat pe bis ghol raha hai
afrang ke derina ghulamon ki raza par
KHud pir-e-haram band-e-qaba khol raha hai
kuchh baat hi aisi hai ki paimana-e-zar mein
ek rind-e-tunuk-zarf lahu tol raha hai
buz-ghaala-e-afrang shaghaalon ke jilau mein
kis ThaTh se zargham-sifat bol raha hai
tariKH ke virana-e-abaad mein 'shorish'
kuchh qimti moti hain qalam rol raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.