saheli
havā kī surma.ī rath par
madhur, dhīme suroñ meñ boltī bārish
mire vijdān kā pahlā jazīra hai
vo akasr raat ke pichhle pahar koī purānā giit gaatī hai
mire tan kī pyāsī ret meñ ḳhushbū milātī hai
kabhī apnī mahaktī narm poroñ se mirā shāna hilātī hai
mirī nazmoñ ke misroñ meñ tarannum chhoḌ jaatī hai
vo gūñge des kī vīrān galiyoñ meñ
''sar-e-bāzār mī-raqsam'' kā ilhāmī vazīfa gungunātī hai
baqā-e-yār kī ḳhātir fanā taslīm kartī hai...
fazā meñ koñpleñ taqsīm kartī hai!
diloñ ke āstānoñ par dhamāleñ Dāltī...
mirī pahlī sahelī hai...
hawa ki surmai rath par
madhur, dhime suron mein bolti barish
mere wijdan ka pahla jazira hai
wo akasr raat ke pichhle pahar koi purana git gati hai
mere tan ki pyasi ret mein KHushbu milati hai
kabhi apni mahakti narm poron se mera shana hilati hai
meri nazmon ke misron mein tarannum chhoD jati hai
wo gunge des ki viran galiyon mein
sar-e-bazar mi-raqsam ka ilhami wazifa gungunati hai
baqa-e-yar ki KHatir fana taslim karti hai
faza mein konplen taqsim karti hai!
dilon ke aastanon par dhamalen Dalti
meri pahli saheli hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.