sahra ka tanha peD
sahrā meñ ik peḌ hai tanhā
jis kī shāḳheñ
phal phūloñ se ladī huī thiiñ
jis kī narm ghanerī chhāñv kā charchā
bastī bastī thā
jin par rang-birange parindoñ kā Derā thā
jis pe ḳhizāñ kā saaya ab tak nahīñ paḌā thā
suukh rahā hai
rang-birange panchhī hijrat karne lage haiñ
ret kī āñdhī chalne lagī hai
chhāñv ghanerī jalne lagī hai
us ke nīche koī musāfir ab nahīñ ruktā
us pe koī jhūlā nahīñ paḌtā
us pe dīmak aur makoḌoñ kā hai baserā
sunā hai
ab to us par bhūtoñ kā Derā hai
jo bhī musāfir us ke nīche se guzregā
saañs saañs vo jal jā.egā
sahra mein ek peD hai tanha
jis ki shaKHen
phal phulon se ladi hui thin
jis ki narm ghaneri chhanw ka charcha
basti basti tha
jin par rang-birange parindon ka Dera tha
jis pe KHizan ka saya ab tak nahin paDa tha
sukh raha hai
rang-birange panchhi hijrat karne lage hain
ret ki aandhi chalne lagi hai
chhanw ghaneri jalne lagi hai
us ke niche koi musafir ab nahin rukta
us pe koi jhula nahin paDta
us pe dimak aur makoDon ka hai basera
suna hai
ab to us par bhuton ka Dera hai
jo bhi musafir us ke niche se guzrega
sans sans wo jal jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.