sai-e-raegan
zarā nazreñ uThāo
dekho sū-e-asmāñ
hai kyā samāñ dekho
ravāñ hai ye umañDte bādaloñ kā kārvāñ dekho
magar ye kyā
havāoñ meñ tapish hai maujzan kaisī
fazāoñ meñ ghuTan kyoñ hai
nahīñ ye bādaloñ kā kārvāñ to ho nahīñ saktā
dhuāñ hai ye dhuāñ dekho
ubhartī haiñ fazāoñ meñ
ye dahshatnāk chīḳheñ aur fariyādeñ
fazā.eñ sahmī sahmī haiñ
havā.eñ muztarib sī haiñ
yaqīnan lag ga.ī hai aag
haañ ye aag hī to hai
jise paiham bujhāne kī haiñ saarī koshisheñ jaarī
magar ye aag to baḌhtī hī jaatī hai
bahar-sū ḳhauf hai taarī
fazāoñ meñ dhueñ ke haiñ baḌe saffāk marġhūle
kahīñ ye aag
baḌh kar āsmāñ ko hī na ab chhū le
nihāyat karb meñ Duubā huā māhaul hai saarā
bujhegī aag ye kaise
ki ye paanī nahīñ petrol hai saarā
ye baḌhtī jā rahī hai aag har jānib yahāñ dekho
bujhāne kī ye sa.ī-e-rā.egāñ dekho
zara nazren uThao
dekho su-e-asman
hai kya saman dekho
rawan hai ye umanDte baadalon ka karwan dekho
magar ye kya
hawaon mein tapish hai maujzan kaisi
fazaon mein ghuTan kyon hai
nahin ye baadalon ka karwan to ho nahin sakta
dhuan hai ye dhuan dekho
ubharti hain fazaon mein
ye dahshatnak chiKHen aur fariyaaden
fazaen sahmi sahmi hain
hawaen muztarib si hain
yaqinan lag gai hai aag
han ye aag hi to hai
jise paiham bujhane ki hain sari koshishen jari
magar ye aag to baDhti hi jati hai
bahar-su KHauf hai tari
fazaon mein dhuen ke hain baDe saffak marghule
kahin ye aag
baDh kar aasman ko hi na ab chhu le
nihayat karb mein Duba hua mahaul hai sara
bujhegi aag ye kaise
ki ye pani nahin petrol hai sara
ye baDhti ja rahi hai aag har jaanib yahan dekho
bujhane ki ye sai-e-raegan dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.