sail-e-ab
raat merī aañkh jab khulī
to khaaT merī hil rahī thī
hil rahī thī naav
sail-e-āb ke maqām-e-asl par
sitāre jhaḌ rahe the āsmān se
ḳhalā ba-zāt-e-ḳhud siyāh haul thā banā huā
pahāḌ se nikal rahī thī
tez dhaar kī tarah havā
ubal rahā thā
jaise sail-e-āb ke maqām se
añdherā āb-e-sard ko lapeTtā
nigal rahā thā raushnī kī zard sī lakīr ko
ulaT rahī thī kā.enāt ik taraf
kisī kā dast-e-nāznīñ
mirī jabīn par rukā
shafaq se surḳh hoñT
mere ḳhushk hoñToñ se mile
maiñ jī uThā
maiñ muskurā ke jaag uThā
ufuq ke dasht meñ
tilism-e-ahmarīñ chahār samt thā usī tarah
ma'an safed din nikal paḌā
nizām-e-kā.enāt phir se chal paḌā
raat meri aankh jab khuli
to khaT meri hil rahi thi
hil rahi thi naw
sail-e-ab ke maqam-e-asl par
sitare jhaD rahe the aasman se
KHala ba-zat-e-KHud siyah haul tha bana hua
pahaD se nikal rahi thi
tez dhaar ki tarah hawa
ubal raha tha
jaise sail-e-ab ke maqam se
andhera aab-e-sard ko lapeTta
nigal raha tha raushni ki zard si lakir ko
ulaT rahi thi kaenat ek taraf
kisi ka dast-e-naznin
meri jabin par ruka
shafaq se surKH honT
mere KHushk honTon se mile
main ji uTha
main muskura ke jag uTha
ufuq ke dasht mein
tilism-e-ahmarin chahaar samt tha usi tarah
ma'an safed din nikal paDa
nizam-e-kaenat phir se chal paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.