sajae gae elanat
aaj añdherā ījād mat kījiye
ki maiñ apnā āḳhirī charāġh bhī
mohabbat ke jurm meñ qatl hone
vāloñ kī qabr par jalā aayā huuñ
ek qabr khodiye
mere paas ek nazm hai
jis meñ merī maut kā
zikr hai
us nazm ko qabr meñ gaaḌ dījiye
shajar-kārī muhim ke daurān
ek-ādh daraḳht merī
āñkhoñ meñ lagā.iye
ki maiñ aksar ḳhvāb meñ
lambe safar par nikaltā huuñ
aur mere rāste par
koī daraḳht nahīñ hotā
merī siiv darāz meñ rakh lījiye
ki merī siiv par kisī mohabbat yā
kisī ḳhvāb kā zikr nahīñ hai
ḳhizāñ ko kuchh der aur roke rakhiye
ki maiñ ne kuchh phuul ek aise
shaḳhs ko dene haiñ
jise kuchh din zinda rahne kī mohlat milī
aaj dūsre din kī shaam hai
mere paas ek zer-e-ta.amīr muskurāhaT hai
merī ek tasvīr khīñche
aur gum-shuda afrād kī tasvīroñ
ke saath rakh dījiye
ki DhūñDne vāloñ ko ye to
mālūm ho ki kyoñ maiñ apnī muskurāhaT
mukammal ta.amīr nahīñ kar sakā
aaj andhera ijad mat kijiye
ki main apna aaKHiri charagh bhi
mohabbat ke jurm mein qatl hone
walon ki qabr par jala aaya hun
ek qabr khodiye
mere pas ek nazm hai
jis mein meri maut ka
zikr hai
us nazm ko qabr mein gaD dijiye
shajar-kari muhim ke dauran
ek-adh daraKHt meri
aankhon mein lagaiye
ki main aksar KHwab mein
lambe safar par nikalta hun
aur mere raste par
koi daraKHt nahin hota
meri siw daraaz mein rakh lijiye
ki meri siw par kisi mohabbat ya
kisi KHwab ka zikr nahin hai
KHizan ko kuchh der aur roke rakhiye
ki main ne kuchh phul ek aise
shaKHs ko dene hain
jise kuchh din zinda rahne ki mohlat mili
aaj dusre din ki sham hai
mere pas ek zer-e-tamir muskurahaT hai
meri ek taswir khinche
aur gum-shuda afrad ki taswiron
ke sath rakh dijiye
ki DhunDne walon ko ye to
malum ho ki kyon main apni muskurahaT
mukammal tamir nahin kar saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.